Obaid Siddiqi

baiThe biThae aaj phir kis ka KHayal aa gaya

Obaid Siddiqi

Meerut, Uttar pradesh, India

1957
baiThe biThā.e aaj phir kis kā ḳhayāl aa gayā
chehre kā rañg uḌ gayā rañg-e-malāl aa gayā
uljhan meñ paḌ gayā huuñ maiñ dil kā karūñ to kyā karūñ
shīsha nahīñ ye kaam kā is meñ to baal aa gayā
puurā na kar sakūñgā ab tujh se kabhī mukālima
āñkheñ thiiñ mahv-e-guftugū dil kā savāl aa gayā
karnī hai tark jis jagah terī talāsh-o-ārzū
sahrā meñ ab maqām vo mere ġhazāl aa gayā
ruuī kī tarah shahr meñ uḌne lagī hai ye ḳhabar
us ko hī bas pata nahīñ us kā zavāl aa gayā
maiñ ne to apnā ā.īna rakkhā thā us ke rū-ba-rū
itnī sī ek baat thī us ko jalāl aa gayā
Top Urdushayar.com