Obaid Siddiqi

agar is shahr ki aab o hawa tabdil ho jae

Obaid Siddiqi

Meerut, Uttar pradesh, India

1957
agar is shahr kī aab o havā tabdīl ho jaa.e
to phir sab kuchh ba-juz nām-e-ḳhudā tabdīl ho jaa.e
mire hone ne duniyā meñ sabhī kuchh to badal Daalā
mujhe tū hī batā ab aur kyā tabdīl ho jaa.e
mujhe is kī ḳhabar tak bhī na hone paa.e aur ik din
safar ke darmiyāñ yuuñ rāsta tabdīl ho jaa.e
ajab ḳhvāhish hai sar se āsmāñ kā saaya uTh jaa.e
zamīñ āb-e-ravāñ meñ zer-e-pā tabdīl ho jaa.e
tilism-e-ḳhvāb se āñkheñ agar āzād ho jaa.eñ
to zinda rahne kā saarā maza tabdīl ho jaa.e
Top Urdushayar.com