Bismil Saeedi

kaun samjhe ishq ki dushwariyan

Bismil Saeedi

Tonk, Rajasthan, India

1902-1977
kaun samjhe ishq kī dushvāriyāñ
ik junūñ aur laakh zimmedāriyāñ
ehtimām-e-zindagi-e-ishq dekh
roz mar jaane kī haiñ tayyāriyāñ
ishq kā ġham vo bhī tere ishq kā
kaun kar saktā mirī ġham-ḳhvāriyāñ
be-ḳhudi-e-ishq jaise ġham kī niind
ġham kī nīndeñ ruuh kī bedāriyāñ
ishq bhī hai kis qadar bar-ḳhud-ġhalat
un kī bazm-e-nāz aur ḳhuddāriyāñ
is mohabbat us javānī kī qasam
phir na ye nīndeñ na ye bedāriyāñ
ye niyāz-e-ārzūmandī na dekh
aur kuchh haiñ ishq kī ḳhuddāriyāñ
iḳhtilāj-e-qalb ke daure nahīñ
ishq kī 'bismil' haiñ dil-āzāriyāñ
Top Urdushayar.com