ḳhvāb āñkhoñ meñ savālī hī rahe
kāsa-e-ta.abīr ḳhālī hī rahe
raqs kartī ḳhvāhishoñ ke zer-e-pā
dil shikār-e-pā.emālī hī rahe
ḳhaak ho jaate lahū kī aag meñ
jism ke kuuze sifālī hī rahe
zindagī in se sivā niklī yahāñ
falsafe saare ḳhayālī hī rahe
sabza-e-maidāñ pe kab utrī ḳhizāñ
shor is kā Daalī Daalī hī rahe
chāñd niklā to ġhazab Dhā jā.egā
raat behtar hai ye kaalī hī rahe