dayār-e-ḳhvāb se aage safar karne kā din hai
to kyā ye qissa-e-jāñ muḳhtasar karne kā din hai
bulāvā aa gayā hai phir mujhe sahrā-navardī kā
yahī to zindagī ko ham-safar karne kā din hai
mujhe raqs-e-junūñ karnā paḌegā shaam hone tak
mudārāt-e-hujūm-e-dīda-tar karne kā din hai
ḳhizāñ kī bad-havāsī us ke chehre se hai zāhir
jahāñ ko mausam-e-gul kī ḳhabar karne kā din hai
ye ḳhāshāk-e-samā.at ḳhaak honā chāhte haiñ
zabāñ ko aaj apnī shola-gar karne kā din hai
huā hai dīdanī manzar zamīñ se āsmāñ kā
qafas meñ ārzū-e-bāl-o-par karne kā din hai