Obaid Siddiqi

kab tak us ka hijr manata sahra chhoD diya

Obaid Siddiqi

Meerut, Uttar pradesh, India

1957
kab tak us kā hijr manātā sahrā chhoḌ diyā
jiine kī ummīd meñ maiñ ne kyā kyā chhoḌ diyā
mere saath lagā rahtā hai yādoñ kā bādal
dhūp-bhare rastoñ par us ne saaya chhoḌ diyā
har chehre par ik chehre kā dhoka hotā hai
kis ne mujh ko is bastī meñ tanhā chhoḌ diyā
duniyā sab kuchh jaan ga.ī hai mere baare meñ
bint-e-alam ne nā-mahram se parda chhoḌ diyā
pahle pahle ḳhauf bahut aatā thā marne se
phir vo manzil aa.ī maiñ ne Darnā chhoḌ diyā
Top Urdushayar.com