tū bhī fariyādī huā thā iltijā maiñ ne bhī kī
tū na thā mujrim akelā haañ ḳhatā maiñ ne bhī kī
zulm donoñ ne kiyā thā donoñ the is meñ sharīk
ibtidā gar tū ne kī to intihā maiñ ne bhī kī
sirf tū ne hī nahīñ kī justujū-e-chāra-gar
dard jab had se baḌhā to kuchh davā maiñ ne bhī kī
kis ne kyā māñgā falak se aur kis ko kyā milā
haath tū ne bhī uThā.e the duā maiñ ne bhī kī
maiñ tirā hissa na ban paayā ye achchhā hī huā
go ye ḳhvāhish ai hujūm-e-dil-rubā maiñ ne bhī kī
sabza-e-begāna se rishta mirā kuchh kam nahīñ
is chaman kī ābyārī ai ghaTā maiñ ne bhī kī