āñkhoñ meñ ik ḳhvāb hai us ko yahīñ sajā.ūñgā
thoḌī zamīñ milī to ik din baaġh lagā.ūñgā
shahr jo tum ye dekh rahe ho is meñ ka.ī haiñ shahr
mere saath zarā niklo to sair karā.ūñgā
mere liye ye dīvār-o-dar jaise haiñ achchhe haiñ
is ghar kī ārā.ish kar ke kise dikhā.ūñgā
saarī duniyā dekh rahī hai ḳhushiyoñ ke ambār
itnī daulat mat de mujh ko kahāñ chhupā.ūñgā
ye jo añdherā phail rahā hai jism-o-jāñ ke biich
aur ghanerā ho jaa.e to diyā jalā.ūñgā