tirī nisbat se apnī zaat kā idrāk karne meñ
bahut arsa lagā hai pairahan ko chaak karne meñ
tirī bastī ke bāshinde bahut āsūda-ḳhātir haiñ
takalluf ho rahā hai dard ko poshāk karne meñ
ham apne jism kā sonā safar par le ke nikle haiñ
magar Darte haiñ is ko rāstoñ kī ḳhaak karne meñ
faqat ik dīda-e-tar hai ki jo sairāb kartā hai
samundar suukh jaate haiñ badan namnāk karne meñ
hamāre saath kuchh guzre hue mausam bhī shāmil haiñ
tamāshā-gāh-e-ālam tujh ko ibrat-nāk karne meñ