zamīn bār-hā badlī zamāñ nahīñ badlā
isī liye to ye merā jahāñ nahīñ badlā
na aarzū koī badlī na merī mahrūmī
badal gayā hai ravayya samāñ nahīñ badlā
udāsī aaj bhī vaisī hai jaise pahle thī
makīñ badalte rahe haiñ makāñ nahīñ badlā
kabhī charāġh kabhī dil jalā ke dekh liyā
zarā sā rañg to badlā dhuāñ nahīñ badlā
parinde ab bhī chahakte haiñ gul mahakte haiñ
sunā hai kuchh bhī abhī tak vahāñ nahīñ badlā
diloñ kā dard kisī taur kam nahīñ hogā
agar tasavvur-e-sūd-o-ziyāñ nahīñ badlā