dariyā jo chaḌhā hai vo utarne nahīñ denā
ye lamha-e-maujūd guzarne nahīñ denā
duniyā hī nahīñ dil ko bhī is shahr-e-havas meñ
man-mānī kisī haal meñ karne nahīñ denā
mahsūs nahīñ hogī masīhā kī zarūrat
ye zaḳhm hī aisā hai ki bharne nahīñ denā
mushkil hai magar kaam ye karnā hī paḌegā
insān ko insān se Darne nahīñ denā
jis ḳhvāb meñ rū-posh ho jiine kī tamannā
vo ḳhvāb-e-dil-āvez bikharne nahīñ denā
gar dil ko jalā kar bhī dhuāñ karnā paḌe to
in paudoñ ko kohre meñ ThiThurne nahīñ denā