chāhe hamārā zikr kisī bhī zabāñ meñ ho
kuchh hasratoñ kī baat bhī rasm-e-bayāñ meñ ho
aa.e to is vaqār se ab ke azāb-e-hijr
sharminda ye bahār bhī ab ke ḳhizāñ meñ ho
rakkhā hai zindagī ko bhī har haal meñ aziiz
jab ki azāb-e-zīst bhī apne gumāñ meñ ho
niklūñ tirī talāsh meñ jab āsamān par
sadma mire ḳhayāl ko donoñ jahāñ meñ ho
rasm-e-junūñ kā baab hai avval o āḳhirī
likkhā nisāb-e-dil to kisī bhī zabāñ meñ ho
ye terā husn-e-zan thā ki dil kaam aa gayā
varna to is kā zikr bhī kār-e-ziyāñ meñ ho
kuchh log the safar meñ magar ham-zabāñ na the
hai lutf guftugū kā jo apnī zabāñ meñ ho
baiThā huuñ duur saa.e se is vāste 'sa.īd'
āsūdgī safar kī usī imtihāñ meñ ho