Saeed Naqvi

kiya hai KHud hi giran zist ka safar maine

Saeed Naqvi

kiyā hai ḳhud hī girāñ ziist kā safar maiñ ne
katar liye the kabhī apne bāl-o-par maiñ ne
yuuñ apnī zaat meñ ab qaid ho ke baiThā huuñ
ḳhud apne gird uThā.e the bām-o-dar maiñ ne
badal ga.e ḳhat o ma.anī ka.ī zabānoñ ke
jab e'tirāf-e-junūñ kar liyā hunar maiñ ne
tū merī tishna-labī par savāl kartā hai
samundaroñ pe banāyā thā apnā ghar maiñ ne
jo aaj phir se mire bāl-o-par nikal aa.e
to terī raah ke kaTvā diye shajar maiñ ne
maiñ us kī zaat pe yuuñ tabsira nahīñ kartā
ki puure qad se to dekhā nahīñ magar maiñ ne
maiñ chāñd raat kā bhaTkā huā musāfir thā
añdherī raat meñ tanhā kiyā safar maiñ ne
maiñ be-libās to aayā thā bā-libās gayā
ye zād-e-rāh kamāyā rah-e-hunar maiñ ne
vafūr-e-harf ke virse kī aarzū meñ 'sa.īd'
sunā hai 'mīr' aur 'mirzā' kabhī 'jigar' maiñ ne
Top Urdushayar.com