ye umr musībat kī basar ho ke rahegī
jab shaam huī hai to sahar ho ke rahegī
afsurdagī-e-dil gul-e-tar ho ke rahegī
āh-e-saharī bād-e-sahar ho ke rahegī
ḳhud un ke taġhāful kī ināyat se kisī din
un ko mirī hālat kī ḳhabar ho ke rahegī
vo barq-e-tajallī jo abhī ka.aba-e-dil hai
ik roz vo masjūd-e-nazar ho ke rahegī
yā qābil-e-sajda hī rahegā na dar-e-husn
yā merī jabīñ qābil-e-dar ho ke rahegī
sairāb nazar hogī mirī yā gul-e-tar se
yā ḳhatm bahār-e-gul-e-tar ho ke rahegī
ab un kī jafā.eñ nazar-andāz na hoñgī
ab merī vafā madd-e-nazar ho ke rahegī
jo ġhaflat-e-āzādī-e-gulshan meñ kaTegī
us raat kī zindāñ meñ sahar ho ke rahegī