Saeed Naqvi

fasil-e-zat mein dar to teri inayat hai

Saeed Naqvi

fasīl-e-zāt meñ dar to tirī ināyat hai
par is meñ āmad-e-vahshat mirī izāfat hai
jab ā.īne dar-o-dīvār par nikal aa.eñ
to shahr-e-zāt meñ rahnā bhī ik qayāmat hai
maiñ apne saare savāloñ ke jāntā huuñ javāb
mirā savāl mire zehn kī sharārat hai
zarā sī der to mausam ye aarzū kā rahe
abhī bhī qalb o jigar meñ zarā harārat hai
maiñ apnī zaat se bāhar nikal to aayā huuñ
ab apne-āp se milne meñ kyā qabāhat hai
ye apnā ghar maiñ sar-e-rāh le to aayā huuñ
badal le rāsta sūraj to phir sarāhat hai
ye sar-zamīn to dariyāoñ se banī hai 'sa.īd'
ye aur baat ki pul se tumheñ adāvat hai
Top Urdushayar.com