Saeed Naqvi

raste lapeT kar sabhi manzil pe lae hain

Saeed Naqvi

raste lapeT kar sabhī manzil pe laa.e haiñ
kho.e safar hī bāñdh ke sāhil pe laa.e haiñ
pahle to DhūñDh-DhāñDh ke laa.e vajūd ko
aur phir hañkā ke zaat ko mahmil pe laa.e haiñ
uThtī hai har furāt meñ ik mauj-e-iztirāb
jab bhī vo kārvāñ rah-e-qātil pe laa.e haiñ
sāhil kī ret se kabhī jis kī banī nahīñ
us ko samundaroñ ke muqābil pe laa.e haiñ
dil Dar gayā thā vasl kī hiddat ko soch kar
izn-e-ḳhayāl ko rah-e-kāmil pe laa.e haiñ
Top Urdushayar.com