Saeed Naqvi

main dost se na kisi dushmani se Darta hun

Saeed Naqvi

maiñ dost se na kisī dushmanī se Dartā huuñ
bas is zabān kī be-pardagī se dabtā huuñ
maiñ duur duur se ḳhud ko uThā ke laatā rahā
ki TuuT jā.ūñ to phir duur tak bikhartā huuñ
ye sab ishāre mire kaam kyuuñ nahīñ aate
yaqīñ kī maañg ko rasm-e-gumāñ se bhartā huuñ
maiñ itnī duur nikal aayā shahr-e-hastī se
ḳhud apnī zaat se akasr lipaT ke rotā huuñ
abhī zamāna mire saath chalne vaalā hai
maiñ is ḳhayāl se jiitā huuñ aur na martā huuñ
zamāna DhūñD rahā hai mujhe makānoñ meñ
maiñ shahr-e-zāt ke āndhe kueñ meñ rahtā huuñ
hamāre rāste jab se judā hue haiñ 'sa.īd'
maiñ apnī zaat ko mahsūs kar to saktā huuñ
Top Urdushayar.com