vo bhī kyā din the ki jab us kā mirā yārāna thā
aap se begāna vo thā ḳhud se maiñ begāna thā
rabt-o-zabt-e-bāhamī ke haa.e vo rāz-o-niyāz
āshiqāna husn thā aur ishq ma.ashūqāna thā
maiñ agar gul thā to vo thā bulbul-e-shaidā mirā
aur agar vo sham.a thā to is kā maiñ parvāna thā
vo kabhī dīvāna thā mere liye lailā kabhī
maiñ kabhī us ke liye lailā kabhī dīvāna thā
us ko thā dīdār hāsil mujh ko nazzāra nasīb
mere us ke darmiyāñ ik jalva-e-jānāna thā
mere kufr-e-ishq meñ thī ek īmānī adā
us ke kāfir husn meñ ik ishva-e-turkāna thā
sājid-o-masjūd ham bāham the ham donoñ kā dil
ka.abe kā ka.aba thā aur but-ḳhāne kā but-ḳhāna thā
mere ashk-e-shauq-e-paiham meñ thī us kī dāstāñ
us ke andāz-e-tabassum meñ mirā afsāna thā
jhuum bhī uTThī udhar kaif-e-tarb se rūh-e-nāz
aur idhar hoñToñ hī par mere abhī paimāna thā
haa.e vo shahbā-e-zulf-o-kākul-o-gesū ki jab
āftāb-e-sub.h bhī ik sham-e-ishrat-ḳhāna thā
shāmil-e-anfās the naġhmāt-e-aish-o-imbisāt
zindagī ke saaz kā har zer-o-bam shāhāna thā
aañkh se dil meñ samā jaate the dil se ruuh meñ
zindagī-e-shauq kā har haal betābāna thā
haa.e vo mai-ḳhvārī-e-bāham kā aalam aah jab
ehtimām-e-mai baġhair-e-shīsha-o-paimāna thā
jab milīñ āñkhoñ se āñkheñ jab mile hoñToñ se hoñT
har nazar paimāna thī aur har-nafas mai-ḳhāna thā
uf vo rabt-o-zabt sharm-o-shauq jab bā-hamd-digar
ek jazba mushtarak thā aur bebākāna thā
vo taqaddum sharm kā ho yā tajāvuz shauq kā
dāḳhil-e-mustasniyāt-e-laġhzish-e-mastāna thā
uf vo fart-e-shauq jis kā naam thā ranjīdagī
ālam-e-ranjīdagī kis darja mahbūbāna thā
barhamī par haa.e vo jurmāna-hā-e-jurm-e-shauq
vaj.h-e-afzūnī-e-shauq-e-jurm har jurmāna thā
ho rahe the yuuñ basar roz-o-shab umr-e-nashāt
mehr-o-mah se ehtimām-e-zīnat-e-kāshāna thā
be-ta.alluq zindagī hone kā thā imkāñ hī kyā
zindagī zulf-e-ta.alluq thī muqaddar shāna thā
rūnumā lekin muqaddar se huā vo ishq ke
jo talavvun husn kī fitrat meñ mahbūbāna thā
husn to hai ik tajallī sham-e-har-mahfil-sifat
vo to kah degā ye ik andāz-e-māshūqāna thā
haañ magar kal ishq ko dekhā ki vo shorīda-baḳht
baḌh chukā thā zindagī meñ maut se dīvāna thā
jā rahā thā be-irāda be-ḳhayāl-e-samt-o-rāh
aur zabāñ par nāla-e-mauzūñ ye mazlūmāna thā
chashm hai mahrūm-e-sūrat gosh māyūs-e-sadā
ḳhvāb thā jo kuchh ki dekhā jo sunā afsāna thā