Bismil Saeedi

apne wadon ko faramosh na kar dena tha

Bismil Saeedi

Tonk, Rajasthan, India

1902-1977
apne va.adoñ ko farāmosh na kar denā thā
sāz-e-altāf ko ḳhāmosh na kar denā thā
apnī nazroñ se agar mujh ko kiyā thā ojhal
apne dil se to farāmosh na kar denā thā
nahīñ aatā thā agar hosh meñ laanā tum ko
kisī kambaḳht ko behosh na kar denā thā
har-nafas maut ke qadmoñ kī sadā sunñe ko
zindagī ko hama-tan-gosh na kar denā thā
āñsuoñ meñ faqat ab mujh ko nazar aate ho
is tarah to mujhe ġham-kosh na kar denā thā
na uThānā thā dar-e-mai-kada-e-nāz se ab
varna pahle mujhe mai-nosh na kar denā thā
hashr bhī yā to bahisht-āfrīñ karnā thā mirā
yā mirī qabr ko gul-posh na kar denā thā
is tarah zahmat-e-fardā ko baḌhāne ke liye
mujh ko ḳhamyāza-kash-e-dosh na kar denā thā
aañkh meñ dekh kar aañsū mujhe rashk aatā hai
itnā vīrān to āġhosh na kar denā thā
daftar-e-nāz pe kuchh baar na thā is kā niyāz
apne 'bismil' ko subuk-dosh na kar denā thā
Top Urdushayar.com