Anjum Manpuri

dil bhar aaya phir bhi raaz-e-dil chhupana hi paDa

Anjum Manpuri

Gaya, Bihar, India

1881-1958
dil bhar aayā phir bhī rāz-e-dil chhupānā hī paḌā
sāmne us bad-gumāñ ke muskurānā hī paḌā
vo jo rūThe maiñ ne bhī khā lī na milne kī qasam
phir na dil maanā to ḳhud jā kar manānā hī paḌā
uf rī majbūrī mizāj-e-yār meñ ho kar daḳhīl
rāzdāñ ḳhud apne dushman ko banānā hī paḌā
mujh ko fasl-e-gul meñ tevar dekh kar sayyād ke
āshiyāna chhoḌ kar gulshan se jaanā hī paḌā
zabt kā yaarā nahīñ sayyād kā bhī hai ḳhayāl
nāla-e-dil-soz ko naġhma banānā hī paḌā
rokte kab tak taqāzā-e-talāfī-e-sitam
sar jhukā.e sharm se mayyat pe aanā hī paḌā
aaj 'anjum' muskurā kar us ne phir dekhā mujhe
shikva-e-jaur-o-jafā phir bhuul jaanā hī paḌā
Top Urdushayar.com