kisī ke naam ko likhte hue miTāte hue
tamām-rāt kaTī ḳhud ko āzmāte hue
kahā ye raat ne mujh se mujhe sulāte hue
tū thak ga.ī hai bahut hāl-e-dil sunāte hue
maiñ kyuuñ sameT nahīñ paatī huuñ kabhī us ko
bikhar rahā hai jo har-pal mujhe sajāte hue
ye chāhtī thī ki maiñ tai karūñ safar us kā
jo thak gayā hai mirā hausla baḌhāte hue
zamāna laakh use kostā rahe phir bhī
bahār janmā hamesha ḳhizāñ ne jaate hue