rah-rav-e-rāh-e-mohabbat kaun sī manzil meñ hai
dil hai be-zār-e-mohabbat aur mohabbat dil meñ hai
kyā zabāñ par hai kisī kī kyā kisī ke dil meñ hai
jis kī mahfil hai vahī jaane vo jis mushkil meñ hai
kārvān-e-husn-o-ishq ab tak kahīñ Thahrā nahīñ
qais abhī sahrā meñ hai lailā abhī mahmil meñ hai
ishrat-e-rafta kā ronā kyā ġham-e-imroz meñ
aish-e-fardā bhī vo maazī hai jo mustaqbil meñ hai
rañg-e-mahfil meñ nazar aatā hai ik rañg-e-digar
terī mahfil ke sivā bhī kuchh tirī mahfil meñ hai
ham-safar kuchh din rahe lekin ḳhudā jaane ki ab
ishq hai kis marhale meñ husn kis manzil meñ hai
manzil-e-maqsūd 'bismil' vo nazar aane lagī
har nazar manzil pe jaise har qadam manzil meñ hai