dard betāb hai alfāz meñ Dhalne ke liye
rāsta chāhiye sab ko hī nikalne ke liye
ḳhatm ho jaatā hai sab kuchh kabhī ik lamhe meñ
aur ik lamha hī kaafī hai sambhalne ke liye
aisī bārish kī zamīñ ġharq huī jaatī hai
abr kuchh vaqt to de detā sambhalne ke liye
maiñ diyā huuñ merī fitrat hai ujālā karnā
vo samajhte haiñ ki majbūr huuñ jalne ke liye
raat ke saath jalā kartī huuñ lamha lamha
chāñd kā nuur 'sabā' chehre pe malne ke liye