raushnī merī huā chāhtī hai
bas vo darvāza khulā chāhtī hai
qatl hone se bachā chāhtī hai
merī tanhā.ī duā chāhtī hai
bel ziddī hai junūñ kī merī
vo lipaTne ko havā chāhtī hai
ghar kā darvāza kabhī khultā nahīñ
phir bhī dahlīz diyā chāhtī hai
merī taḳhlīq ḳhafā hai mujh se
merī pahchān judā chāhtī hai
dil ye chāhe ki maiñ rūThūñ us se
ruuh kyuuñ zabt-e-anā chāhtī hai
kaash gulshan ne ye pūchhā hotā
kaun sā phuul 'sabā' chāhtī hai