farishte dhyān lagā.e utarne lagte haiñ
jo saath tum ho to lamhe sañvarne lagte haiñ
vo ek yaad kī dastak jo dil pe hotī hai
mire ḳhazāne ke motī bikharne lagte haiñ
us ik nigāh kī tāsīr yuuñ samajh liije
ham apne aap se milne meñ Darne lagte haiñ
ye aa.ine ke alāva sifat kisī meñ nahīñ
sañvarne vaale sarāpā bikharne lagte haiñ
sajānī hotī hai jis raat chāñd ko mahfil
sitāre shaam se chhat par utarne lagte haiñ
dikhā.ī de to lipaT jā.ūñ us sadā se maiñ
ki jis ko sun ke 'sabā' phuul jharne lagte haiñ