jab se vo duur ho gayā mujh se
kho gayā merā hī pata mujh se
merā nuqsān har tarah se hai
māñgtā hai vo mashvara mujh se
kyā mirī ahmiyat baḌhī hai idhar
shahr meñ kyuuñ haiñ sab ḳhafā mujh se
aur kuchh ruḳh nikālne ke liye
sunñā chāhegā vāqi.a mujh se
merī duniyā mirā jahān hai vo
jis kī duniyā hai kuchh judā mujh se
haa.e kis phuul kī ye ḳhushbū hai
pūchhtī rah ga.ī 'sabā' mujh se