ḳhizāñ bulā.e magar roke haiñ bahār mujhe
maiñ Thahrī rut huuñ kabhī aa ke tū guzār mujhe
maiñ aks thī to tirī dastaras se bāhar thī
huī huuñ ruup to hāsil huuñ ab nikhār mujhe
maiñ Dhal chukī huuñ kisī sāñche meñ bahut pahle
na aur banñe kī kuchh chaak se utaar mujhe
na jaane kitne na.e rañg mujh meñ ugte haiñ
vo ek lams banā detā hai bahār mujhe
maiñ hijratoñ ke ka.ī dasht paar kar aa.ī
ai mujh se bichhḌī zamīñ ab to tū pukār mujhe