Bismil Saeedi

tum ho jab mere liye hain do-jahan mere liye

Bismil Saeedi

Tonk, Rajasthan, India

1902-1977
tum ho jab mere liye haiñ do-jahāñ mere liye
ye zamīñ mere liye ye āsmāñ mere liye
is tarah jazbāt-e-āzādī bahal jā.eñge kyā
ban rahā hai kyuuñ qafas meñ āshiyāñ mere liye
maiñ chalā jā.ūñ na gulshan chhoḌ kar qabl-az-bahār
kyuuñ girīñ saare chaman par bijliyāñ mere liye
ro rahā huuñ aaj maiñ saare jahāñ ke vāste
ro.egā kal dekhnā saarā jahāñ mere liye
iztirāb-e-shauq se kyā kyā huī haiñ laġhzisheñ
iltifāt-e-yār ne jab imtihāñ mere liye
hai mohabbat kab rahīn-e-rāh-o-rasm-e-tāhirī
bandagī hai be-niyāz-e-āstāñ mere liye
be-panāhī hai yahī 'bismil' jo husn-o-ishq kī
hogī nā-kāfī hayāt-e-jāvidāñ mere liye
Top Urdushayar.com