muddatoñ ḳhuub āzmātī hai
phir mohabbat samajh meñ aatī hai
ruup apnā ujālne ke liye
zindagī dhuup meñ nahātī hai
sab charāġhoñ ko Das chukī āñdhī
ek din ḳhud se haar jaatī hai
saarā aalam duhā.ī detā hai
raat jab dāstāñ sunātī hai
koī māyūsiyoñ ko samjhā.e
chaah ḳhud rāsta banātī hai
koī an-ban huī hai gulshan se
kyuuñ 'sabā' lauT lauT jaatī hai