zamāne vāloñ ke chehroñ pe kitne Dar nikle
falak kī chaah meñ jab bhī zamīñ ke par nikle
bhaTaknā chāhūñ bhī to duniyā muḳhtasar nikle
jidhar baḌhā.ūñ qadam terī rahguzar nikle
yashodhrā kī tarah niiñd meñ chhalī ga.ī to
maiñ chāhtī huuñ mire ḳhvāb se ye Dar nikle
kabhī ḳhayāl meñ socho vo raat kā chehra
ki jis ghaḌī vo duā kartī hai sahar nikle
ki jis pe chalte hue ḳhud se mil sakūñ maiñ 'sabā'
kahīñ se kaash koī aisī rahguzar nikle
paḌāv hotī huī manzileñ na thiiñ manzūr
so haar thak ke 'sabā' ham bhī apne ghar nikle