vo jo har-vaqt sochtā hai mujhe
ḳhud se bichhḌā huā milā hai mujhe
ek aahaT sī aatī rahtī hai
koī to hai jo DhūñDhtā hai mujhe
apnā āġhāz ho na ho lekin
apne anjām kā pata hai mujhe
gahre paanī kī or baḌhte hī
ḳhud-ba-ḳhud dariyā roktā hai mujhe
hāl-e-dil jab sunānā chāhā to
us ne hañs ke kahā pata hai mujhe
ḳhud par āḳhir ġhurūr kyuuñ na karūñ
us ke har ḳhvāb ne chunā hai mujhe
āsmāñ se utar ke chāñd 'sabā'
de ke thapkī sulā rahā hai mujhe