kahīñ se aatī sadā hai koī
sadā nahīñ hai duā hai koī
kahāñ pata thī ye baat mujh ko
ki mujh meñ kab se chhupā hai koī
samajh rahe the jise jazīra
samundaroñ meñ ghirā hai koī
chamak rahā hai jo chāñd ban ke
yahīñ se uTh kar gayā hai koī
zarā sambhal kar qadam baḌhānā
isī safar meñ luTā hai koī
vafā bhī de dī anā bhī de dī
'sabā' se phir kyuuñ ḳhafā hai koī