band kamre meñ huuñ aur koī darīchā bhī nahīñ
kisī dastak kā laraztā huā jhoñkā bhī nahīñ
tīrgī oḌh ke aa.ī hai ghaTā kī chādar
aur fānūs koī aah kā jaltā bhī nahīñ
kal mire saa.e meñ sustā.ī thī sadiyoñ kī thakan
aaj vo peḌ huuñ jis par koī pattā bhī nahīñ
dhuup ke dasht kā darpesh safar hai mujh ko
saath dene ko magar koī parinda bhī nahīñ
apnā ḳhuuñ raah meñ phailā.īñ lakīroñ kī tarah
aane vaale na kahīñ naqsh-e-kaf-e-pā bhī nahīñ