jāgtī āñkhoñ meñ kaise ḳhvāb dar aane lage
rāste merī taraf le kar safar aane lage
duur tak uḌtī abābīloñ kī Dāreñ dekh kar
ūñghte panchhī ke bhī jumbish meñ par aane lage
kā.enāt-e-shab meñ chashm-e-justujū bhaTkī phirī
raushnī ke mantaqe āḳhir nazar aane lage
kitnī dard-añgez thī suunī manDiyoñ kī pukār
uḌ ga.e the jo parinde lauT kar aane lage
ghar to ik din ham ne bhī chhoḌā siddhārth kī tarah
phuul āñgan ke magar har sū nazar aane lage
dhajjiyāñ dāman kī pahle hī numāyāñ thiiñ bahut
kuchh na.e ilzām bhī ab mere sar aane lage