dhuup meñ baiThe haiñ bachche haath meñ chhāgal liye
so ga.iiñ shāyad havā.eñ god meñ bādal liye
aa rahā hai chup ke tālāboñ meñ patthar pheñktā
ik julūs-e-kaudkāñ ko saath ik pāgal liye
in añdherī bastiyoñ meñ rakh na darvāza khulā
kaun aatā hai yahāñ apnā.ī kī mash.al liye
zaat meñ gum-sum yūñhī saḌkoñ pe din bhar ghūmnā
aur shab ko sochnā pahlū meñ dil be-kal liye
kyā ajab us par mahak hī jaa.eñ darmāñ ke gulāb
hai to ik shāḳh-e-nazar ummīd kī koñpal liye
aaj tak be-samtiyoñ kī rah-ravī ne kyā diyā
ab zarā dam le bhī lo 'bazmī' bahut kuchh chal liye