na jaane rabt-e-masarrat hai kis qadar ġham se
ḳhabar ḳhushī ko milī bhī to chashm-e-pur-nam se
zabān kholiye ḳhalvat meñ be-hijābāna
chhupā.ī jaatī hai kab dil kī baat mahram se
kisī kī yaad meñ kyā kyā na ham pe biit ga.ī
jahāñ ne dī thī jo fursat zarā hameñ ġham se
shu.ūr-e-shāna-kashī dekhiye unheñ kab aa.e
mizāj-e-zīst hai vābasta zulf-e-barham se
fareb-e-dost na khāte to aur kyā karte
yahī to rasm chalī aa rahī hai aadam se
ye aaj kaun sī taqsīr ho ga.ī 'nāmī'
ki dost bhī to milāte nahīñ nazar ham se