mire ḳhvāboñ meñ ḳhayāloñ meñ mire paas raho
tum mire saare savāloñ meñ mire paas raho
mere qātil mire dildār masīhā mere
zaḳhm-o-marham ke havāloñ meñ mire paas raho
sham-e-ruḳhsār liye gesū-e-ḳhamdār liye
sab añdheroñ meñ ujāloñ meñ mire paas raho
kabhī ḳhushbū kabhī saaya kabhī paikar ban kar
sabhī hijroñ meñ visāloñ meñ mire paas raho
ho tumhīñ juuhī tumhīñ rolī tumheñ pārvatī
husn-e-ḳhūbāñ kī misāloñ meñ mire paas raho
apnī palkoñ pe sajā.e hue namnāk charāġh
dam-e-āḳhir ke sambhāloñ meñ mire paas raho