terā ḳhayāl jaañ ke barābar lagā mujhe
tū merī zindagī hai ye akasr lagā mujhe
dariyā tire jamāl ke haiñ kitne is meñ gum
sochā to apnā dil bhī samundar lagā mujhe
luuTā jo us ne mujh ko to ābād bhī kiyā
ik shaḳhs rahzanī meñ bhī rahbar lagā mujhe
kyā baat thī ki qissa-e-farhād-e-kohkan
apnī hī dāstān-e-sarāsar lagā mujhe
aamad ne terī kar diyā ābād is tarah
ḳhud apnā pahlī baar mirā ghar lagā mujhe
aayā hai kaun merī ayādat ke vāste
kyuuñ apnā haal pahle se behtar lagā mujhe
kyā yaad aa gayā mujhe kyuuñ yaad aa gayā
ġhuncha khilā jo shāḳh pe patthar lagā mujhe