sazā hai kis ke liye aur jazā hai kis ke liye
patā nahīñ dar-e-zindāñ khulā hai kis ke liye
surāhī-e-mai-e-nāb-o-safīna-hā-e-ġhazal
ye harf-e-husn-e-muqaddar likhā hai kis ke liye
faqat shunīd hai ab tak jo diid ho to batā.eñ
bahār-e-sabza-o-raqs-e-sabā hai kis ke liye
nahīñ jo apne liye bāvajūd zauq-e-nazar
sahīfa-e-ruḳh-o-rañg-e-hinā hai kis ke liye
miTā sake na agar tishna-kāmiyāñ merī
kaho ki ḳhūbī-e-āb-o-havā hai kis ke liye
tumheñ nahīñ ho agar aaj gosh-bar-āvāz
ye merī fikr ye merī navā hai kis ke liye
ye ik savāl hai shikva nahīñ gila bhī nahīñ
mire ḳhudā tirā lutf-o-atā hai kis ke liye