Bismil Saeedi

khoTa to kya wo naqd khara hai ki hae hae

Bismil Saeedi

Tonk, Rajasthan, India

1902-1977
khoTā to kyā vo naqd kharā hai ki haa.e haa.e
vo nā-sira bhī aaj sirā hai ki haa.e haa.e
kin marhaloñ meñ qāfila gum ho ke rah gayā
kis samt se sadā-e-darā hai ki haa.e haa.e
kyā log haiñ ye log jahāñ kyā jahāñ hai ye
kyā kārvāñ hai kyā ye sirā hai ki haa.e haa.e
uḌtā hai us havā se ba-qadr-e-nafas jo hai
tasvīr meñ vo rañg bharā hai ki haa.e haa.e
naġhma sune to jaan ke nauha laraz uThe

kitnā ye dil ġhamoñ se Darā hai ki haa.e haa.e

kyā dil kā saath tār-e-rabāb-e-nashāt deñ
kis dard se ye naġhma-sarā hai ki haa.e haa.e
dosh-e-vajūd par mire is zindagī kī laash
kyā nāgavār bojh dharā hai ki haa.e haa.e
'bismil' kā rañj dil se bhulāyā na jā.egā
kis bekasī kī maut marā hai ki haa.e haa.e
Top Urdushayar.com