tumhāre dil kī tarah ye zamīn tañg nahīñ
ḳhudā kā shukr ki paañv meñ apne lañg nahīñ
ajiib us se ta.alluq hai kyā kahā jaa.e
kuchh aisī sulh nahīñ hai kuchh aisī jañg nahīñ
koī batāo ki is aa.ine kā mol hai kyā
jis aa.ine pe nishān-e-ġhubār-o-zañg nahīñ
mirā junūn hai kotāh yā ye shahr-e-tabāh
jo zaḳhm-e-sar ke liye yaañ talāsh-e-sañg nahīñ
haiñ saare qāfila-sālār sab haiñ rāh-numā
ye kyā safar hai jo koī kisī ke sañg nahīñ
jo kuchh mata-e-hunar ho to sāmne laao
ki ye zamāna-e-iz.hār-e-nasl-o-rañg nahīñ