ye tan ghirā huā chhoTe se ghar meñ rahtā hai
par apnā man ki jo har dam safar meñ rahtā hai
dhanak kī tarah nikhartā hai shab ko ḳhvāboñ meñ
vahī jo din ko mirī chashm-e-tar meñ rahtā hai
visāl us ko likhūñ maiñ ki hijr kā āġhāz
jo ek lamha musalsal nazar meñ rahtā hai
chalo vo ham nahīñ koī to hai zarūr ki jo
sukūñ se sāya-e-dīvār-o-dar meñ rahtā hai
hai tañg jis pe bahut vus.at-e-zabān-o-bayāñ
vo harf ik nigah-e-muḳhtasar meñ rahtā hai