sikhā sakī na jo ādāb-e-mai vo ḳhū kyā thī
jo ye na thā to phir is darja hāv-hū kyā thī
jo bār-e-dosh rahā sar vo kab thā shorīda
bahā na jis se lahū vo rag-e-gulū kyā thī
phir ek zaḳhm-e-kushāda jo dil ko yaad aa jaa.e
vo lazzat-o-ḳhalish-e-sozan-o-rafū kyā thī
jo izn-e-ām na thā vāliyān-e-mai-ḳhāna
ye sab numā.ish-e-paimāna-o-subū kyā thī
agar nigāh-e-jahāñ ke shumār meñ na the ham
to phir hamārī ye shohrat bhī chār-sū kyā thī
na ḳhūn-e-shab thā na shab-ḳhūñ ye maan leñ lekin
shafaq tulū-e-sahar ko lahū lahū kyā thī
jab aa rahī haiñ bahāreñ liye payām-e-junūñ
ye pairahan ko mire hājat-e-rafū kyā thī
tumheñ shikāyat-e-ahl-e-vatan hai kyuuñ sāhab
ḳhud apne shahr meñ 'ġhālib' kī aabrū kyā thī