ḳhush-rañg kis qadar ḳhas-o-ḳhāshāk the kabhī
zarre bhī zeb-o-zīnat-e-aflāk the kabhī
ab DhūñDte haiñ rāh-e-taḳhātub ke silsile
kyā ham vahī haiñ tum se jo bebāk the kabhī
go de sake na soz-e-darūñ kā hamāre saath
ye dīda-hā-e-ḳhushk bhī namnāk the kabhī
kuchh aur bhī aziiz huī haiñ nishāniyāñ
dāman vo taar taar haiñ jo chaak the kabhī
ham ne junūñ se pahle kiyā thā tumheñ pasand
achchhā to ham bhī sāhab-e-idrāk the kabhī
ab dhuup hai ki chhāñv mile umr ho ga.ī
mausam mizāj-e-dost ke chālāk the kabhī