Akbar Ali Khan Arshi Zadah

kabhi zaKHm zaKHm nikhar ke dekh kabhi dagh dagh sanwar ke dekh

Akbar Ali Khan Arshi Zadah

kabhī zaḳhm zaḳhm nikhar ke dekh kabhī daaġh daaġh sañvar ke dekh
kabhī tū bhī TuuT mirī tarah kabhī reza reza bikhar ke dekh
sar-e-ḳhār se sar-e-sañg se jo hai merā jism lahū lahū
kabhī tū bhī to mire sañg-e-mīl kabhī rañg mere safar ke dekh
isī khel se kabhī pā.egā tū gudāz-e-qalb kī ne.amateñ
kabhī ruuTh jā kabhī man ke dekh kabhī jiit jā kabhī har ke dekh
ye paḌī haiñ sadiyoñ se kis liye tire mere beach judā.iyāñ
kabhī apne ghar tū mujhe bulā kabhī rāste mire ghar ke dekh
tujhe ā.īne meñ na mil sakegā tirī adāoñ kā bāñkpan
agar apnā husn hai dekhnā to mirī ġhazal meñ utar ke dekh
vahī merā dard ravāñ-davāñ vahī terā husn javāñ javāñ
kabhī 'mīr'-o-'dard' ke bait paḌh kabhī sher 'dāġh'-o-'jigar' ke dekh
Top Urdushayar.com