ye shauq saare yaqīn-o-gumāñ se pahle thā
maiñ sajda-rez navā-e-azāñ se pahle thā
haiñ kā.enāt kī sab vus.ateñ usī kī gavāh
jo har zamīn se har āsmāñ se pahle thā
sitam hai us se kahūñ jism-o-jāñ pe kyā guzrī
ki jis ko ilm mire jism-o-jāñ se pahle thā
usī ne dī hai vahī ek din bujhā.egā pyaas
jo soz-e-sīna-o-ashk-e-ravāñ se pahle thā
usī se thī aur usī se rahegī apnī talab
jo aarzū kī har ik īn-o-āñ se pahle thā
vo sun rahā hai mirī be-zabāniyoñ kī zabāñ
jo harf-o-saut-o-sadā-o-zabāñ se pahle thā
ye hamd husn-e-bayāñ hai mirā ki ijz-e-suḳhan
har ek vasf jab us kā bayāñ se pahle thā