sannāTā tūfāñ se sivā ho ye bhī to ho saktā hai
ye kuchh aur baḌā dhokā ho ye bhī to ho saktā hai
zabt-e-junūñ se andāzoñ par dar to band nahīñ hote
tū mujh se baḌh kar rusvā ho ye bhī to ho saktā hai
rahne de ye harf-e-tasallī merī himmat past na kar
nākāmī hī meñ rastā ho ye bhī to ho saktā hai
DhūñDne vaalā DhūñD rahā hai aur andāz jafāoñ ke
mujh ko vafā kā zaḳhm lagā ho ye bhī to ho saktā hai
laao ik lamhe ko apne-āp meñ Duub ke dekh aa.uuñ
ḳhud mujh meñ hī merā ḳhudā ho ye bhī to ho saktā hai
mujh ko to ye e.azāz bahut hai lekin terī tamannā ne
mere laboñ se kaam liyā ho ye bhī to ho saktā hai
āḳhir apne qadmoñ ko kyuuñ ham mulzim Thahrāte haiñ
rāhoñ ne muñh moḌ liyā ho ye bhī to ho saktā hai
mere tasavvur ne baḳhshī hai tanhā.ī ko bhī ik mahfil
tū mahfil mahfil tanhā ho ye bhī to ho saktā hai