vaqf kar ke zindagī kī sā.ateñ tere liye
apne sar liiñ maiñ ne kyā kyā āfateñ tere liye
kar liyā nazzāra-e-husn apnī āñkhoñ par harām
maiñ ne radd kar diiñ nazar kī dāvateñ tere liye
tere milne ke liye mumkin thiiñ jitnī sūrateñ
maiñ ne kar Dālīñ vo saarī sūrateñ tere liye
dushmanoñ kī phabtiyāñ aur dostoñ kī la.an-ta.an
oḌh liiñ duniyā kī saarī la.anteñ tere liye
baiTh kar terī galī meñ baiThne vāloñ ke paas
ḳhaak kar liiñ apnī shaḳhsī azmateñ tere liye
apnī izzat aap karne kā bhī jin ko haq nahīñ
maiñ ne un logoñ kī kī haiñ izzateñ tere liye
apnī ḳhidmat jin se lene maiñ sharāfat ko ho aar
kī haiñ un logoñ kī maiñ ne ḳhidmateñ tere liye
kal jo merī minnateñ karte the apne vāste
aaj maiñ kartā huuñ un kī minnateñ tere liye
tere qadmoñ ke sivā un kī talāfī hī nahīñ
maiñ jo bardāsht kī haiñ zillateñ tere liye
mujh ko jin kī qismatoñ ne kar rakhā thā pā.emāl
rauñd Dālīñ maiñ ne un kī qismateñ tere liye
jin mazāroñ par ḳhudā ke mānñe vaale na jaa.eñ
maiñ ne un par jā ke mānīñ minnateñ tere liye
kufr sharmātā hai jin se jheñptā hai jin se shirk
maiñ ne kī haiñ kaisī kaisī bid.ateñ tere liye
āmiloñ ne farz paḌhvā diiñ namāzeñ saikḌoñ
do kī chaar aur chaar kī do rak.ateñ tere liye
rāhat-e-dārain meñ bhī vo ḳhushī mafqūd hai
jis ḳhushī se maiñ ne jhelīñ āfateñ tere liye
jin meñ hotā thā mire dil par nuzūl-e-vahī-e-sher
vaqf-e-āh-o-nāla haiñ vo sā.ateñ tere liye
kaash tū likkhe ki 'bismil' kuchh ḳhabar bhī hai tujhe
kis qadar ġhamgīñ haiñ merī ḳhalvateñ tere liye