husn hī ke dam se haiñ ye kahāniyāñ saarī
ishq hī sikhātā hai ḳhush-bayāniyāñ saarī
ḳhvāb aur ḳhushbū ko chāhatoñ ke jaadū ko
qaid kar ke dikhlā.eñ pāsbāniyāñ saarī
dil kī dhaḌkanoñ par hai inhisār-e-afsāna
ek sī nahīñ hotīñ naujavāniyāñ saarī
ik tabassum-e-pinhāñ ik nigāh-e-duzdīda
aur phir kahānī thiiñ sar-girāniyāñ saarī
yaad ban ke pahlū meñ mausamoñ ke bistar par
karvaTeñ badaltī haiñ mehrbāniyāñ saarī
kyā ginā.eñ ab tum ko haañ sajā ke rakkhī haiñ
ham ne goshe goshe meñ vo nishāniyāñ saarī