is tarah duniyā meñ dil ko mahram-e-ġham kījiye
jab ḳhushī koī mayassar ho to mātam kījiye
ishq se phir silsila jumbānī-e-ġham kījiye
zindagī par maut ko pahle muqaddam kījiye
husn kī jānib nigāh-e-shauq yā kam kījiye
yā nigāh-e-shauq ko ik ahd-e-mohkam kījiye
maut kā kyā maut kā to sau tarah ġham kījiye
zindagī nāshād kā kis tarah mātam kījiye
dekh kar ahl-e-tarab kā sāz-o-sāmān-e-tarab
bad-nasīboñ kā zarā andāza-e-ġham kījiye
jaane kis aalam kī hasrat meñ haiñ nazreñ muztarib
varna kyā nazzāra-e-husn-e-do-ālam kījiye
ab junūñ kī sarhadoñ se aa milā hai josh-e-ishq
kuchh samajh kar ab nigāh-e-husn barham kījiye
ahl-e-ishrat apnī bazm-e-aish-o-ishrat ke qarīb
ehtiyātan mun.aqid ik bazm-e-mātam kījiye
āñsuoñ kā poñchhne vaalā hī jab koī na ho
aah kis ummīd par āñkhoñ ko pur-nam kījiye
ġham ko hone dījiye ho jis qadar mānūs dil
dil ko jitnā ho sake begāna-e-ġham kījiye
phir qafas se lauT kar aa.e chaman meñ phir vahī
āshiyāñ ke vāste tinke farāham kījiye
haiñ nigāhoñ kī hadoñ se duur abhī bebākiyāñ
shoḳh chitvan se ġhurūr-e-husn ko kam kījiye
tā-kujā āvāra-e-nazzāra chashm-e-husn-e-dost
jam.a ik markaz pe kyuuñ kar husn-e-ālam kījiye
har ḳhushī ne is natīje par hameñ pahuñchā diyā
jab ḳhushī koī mayassar ho to mātam kījiye
aarzū se baḌh ke dushman koī insāñ kā nahīñ
jis qadar mumkin ho 'bismil' aarzū kam kījiye